
13 august per Juw mai yum e azadi per jasn ka ehtimaam kiya gaya, is taqreeb ka agaaz subha 11 bajay k qareeb hua tha, is taqreeb mai national songs ka competition bhi hua, jis mai 1st, 2nd and 3rd anay wali talibaat ko inaam diye gaye, usky baad national anthem parha gaya, jis waqt qomi tarana perha ja raha tha, mujh sameet poray hall mai aik khas seher ki si kaifiyat tari thi, sab k dil watan ki mohabbat say sarshaar thy, us k baad cake kata gaya aur tamaam talibaat mili nagmay gati rahi, pori university ko jhandiyon aur jhando say sajaya gaya tha, tamaam talibaat nay mil ker ehad kiya k woh mulk ki taraqi mai apna kirdaar ada kerengi, akhir mai audience nai bhi saath mil ker nagmhay gaye aur is tarhan taqreeb ka ikhteetaam khusgawar mahool mai hua.
No comments:
Post a Comment